Shayari

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
here are some

1. Ankhon main aansun ki lakeer ban gayi
socha na tha aisi takdeer ban gayi
humna toh yunhi phirai thi reth main ungliyaan
gaur se dekha toh teri tasveer ban gayi.

2. Hausla haar ke tu haar ki kimat na ghata
majdhar ke patwar ki kimat na ghata.
 

sid_8888

New member
here are some more

3. Gaa to hum bhi sakte hai , par wo sur kahan se lau
bajaa to hum bhi sakte hai par woh taal kahan se lau,
Gaa to hum bhi sakte hai , par wo sur kahan se lau
bajaa to hum bhi sakte hai par woh taal kahan se lau,
Taj mahal banna to hum bhi sakte hai par mumtaaz kahan se lau..

wah wah wah
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Na sathi hai koi, na humsafar hai koi, na hum kise ke na hamara hai koi, par aap to dekh kar keh sakte hai, ki DOSt hamara bhi hai KOI!!!!!!

Na tamanna hai hazaro ki, Na hi tammana hai sitaro ki, Jab aap jaisa DOSt hai to kya zarurat hai BAHARO ki …..

Dosti ka pehla paigam aap ke naam, Zindagi ki aakhri sham, Iss safar mai humsafar hai hum dono, Is Dosti ko hai NIBHANA aap ka Kaam?

Zindagi ki raho mai bahuat se yaar milenge, hum, kya humse bhi acche hazaro milenge, in accho ki bhid mai hume na bhula dena, Hum kaha aapko bar bar milenge……….

Dosti gazal hai gungunane ke liye, Dosti Nagma hai sunane ke liye, Yeh who jazba hai jo sabko milta nahi, Kyoki “HOSLA”, chahiye ise nibhane ke liye.

Zindagi to aanjan ho gai hai, Mayusio se ghir ke hairen ho gai hai, acchanak dekha har taraf khusiya hai, TUM jaise dost se jo pehchaan ho gai hai.

Dosti mai duria to aati jaati rehti hai, phir bhi dosti dilo ko milati rehti hai, woh dost hi kya jo Naaraz na ho, par sacchi dosti dosto ko manati rehti hai.

Har raste ka mukam nahi hota. Dik ke rishto ka koi naam nahi hota. Khoja hai aapko dil ki roshni se, aap jaisa dost kise ke liye aam nahi hota.

Mehfil ma na sahi tanhai ma to yaad karoge, Kabhi to us khuda se to fariyad karoge, ne mila hai na milege mere jaisa dost, kabhi to is baat per naaz karoge…

Teri Khushi se na sahi gam se bhi rishta hai mera, yeh jo tere zindagi hai who ek hissa hai mera, e dost tujhse lafzon ka nahi, ruh ka rishta hai mera.

Koi itna chahe tumhe to batana, koi tumhara naz uthaye to batana, dosti kar to lega har koi, koi hamari tarah nibhaye to batana?

Duniya mai bahut gam milenge, sach maano acche dost bahut kam milenge, jis mod pe sab chod dege sath tumhara, DOST, usi mod pe khade hum milege.
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Agar jawab doge to baat karenge! Nahi doge to intezar karenge! DOSTI ki hai aapse isliye marte dam tak aap ko har pal YAAD karenge….

Yaado mai hamari woh bhi kohye honge. Khule aakho se kabhi woh bi soye honge. Mana hasna hai ada gam chupane ki, par HASTE-HASTE kabhi who bhi roe honge?

Badalna nahi aata humko mausam ki tarah, har ek roop mai tere intezar karte hai, na tum samet sakoge jise qayamat tak qasam tumhari tumhe itna pyaar karte hai.

Pal Pal tarsa hu is PAL ke liye, yeh Pal aaya bhi toh kuch PAL ke liye, Socha tha ise zindagi ka ek HASIN pal banau par yeh PAL bhi tahra kuch Pal ke liye…

Dur nigaho se bar bar jaya na karo, dil to is tarah tadpaya na karo, tum bin ek pal bhi jee na payenge, yeh ehsaas bar bar dilaya na karo…….

Yeh aaine jo tumhe kam pasand karte hai, who jante hai ke tumhe hum pasand karte hai, yeh ISHQ ka dastur bada ajib hota hai, aakho se dur lekin dilo se karib hota hai.

Pyaar karo….. Pyaar ki koi had nahi hoti, 2 dilo ke bich koi sarhad nahi hoti, dilruba ko to sabhi chahte hai, Bewafa ko chahne ki kismet sabhi ki nahi hoti…

Nazar andaz kaisa kare aap ko, Nazaro main bithaya hai aapko, yaad aane par roye bhi to kaise, darte hai, jhuki jo palke to chubhegi aapko………….

Nigahe apki pehchan hai hamari, muskurahat apki shan hai hamari, rakhna HIFAZAT tum apni, kyuki saanse hai aapki jaan hai hamari…….

Savera kya hua sitaro ko bhool gaye, suraj kya aya chand ko bhul gaye, guzre kuch pal hamare bina, aap to hame hi bhool gaye…………

Tufan me kashti ko kinara bhi milta hai, jahan mai logo ko sahara bhi milta hai, duniya main sabse pyare hai zindagi, kuch log zindage se pyare bhi milte hai.

Usko chaha bhi to izhar karna na aaya, kat gayi umar sari hame pyaar karna naa aya, usne manga bhi agar kuch to judai mangi, aur hame inkar karna bhi toh nahi aaya!
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Talaash karo koi tumhe mil jayega- magar hamari tarah tumhe kaun chahega- zarur koi chahat ki nazro se tumhe dekhega- magar aakhen hamari kaha se layega...

Ki thi shuruaat ek chooti si mazak se…Mazak dard ban jayega yeh malum na tha Samajte the jise hum aapna “YAAR”... wo “Pyaar” ban jayega malum na tha…!!

Agar Kal hum na bhi rahe, hamari yade sada zinda rahegi, sirf nazar uhtaake CHAND ko dekh lena, hamare rishte ki tasvir waha bani rahegi!!!!!

Hum raat ki tanhai mai unhe yaad kiya karte hai aur sitaro se unka zikar kiya karte hai woh aaye na aaye khawbo main fir bhi hum unka intezar kiya karte hai….

Tanhai mai fariad kar sakte hai virane ko aabad kar sakte hai, kya hua aapse mil nahi sakte, sachhe dil se aapko yaad to kar sakte hai……….

Dhalti shaam ka khula ehsas hai, mere dil mai teri jagah khuch khas hai, tu nahi hai yaha malum hai mujhe, par dil yeh kehta hai tu yahi mere paas hai…..

Raat hogi chand dikhai dega, Khuda khidkise niharta dikhai dega.Yeh mohabbat hai sambhal kar rona, aansu bhi gira to Sunai dega…….

Palko mai kaid kuch sapne hai, Kuch begane kuch apne hai, na jane kya KASHISH hai in khayalo mai, WO gair hoke bhi apne hai.

Nazaro se nazaro ka takrav hota hai, har mod par kisika intezar hota hai, dil rota hai aur zakhm haste hai, isika naam to pyaar hota hai.

Aarzo nahi dur se dekhne ki, kareeb aana bhi nahi chahte, tammana nahi tumhe pane ki, par tumhe khona bhi nahi chahte……..!!!!!!!

Aapki mahfil ka mausam suhana lage, ek pal churalu agar bura na lage, aap hamain milkar bhul jaoage, par aapko bhulanemain shayad humko janmo lage…

Kisi mod par hum aapko khone nahi denge, juda hona bhi chaho to hone nahi denge, ChANDANI rato mai aayegi meri yaad, meri yaad ke woh pal aapko sone nahi denge.

Royegi aakhe muskurane ke baad, aayegi raat din dhaljane ke baad, oh janewale zara mud ke dekh, shayad yeh ZINDAGI hi na rahe tere jaane ke baad……….

Unse hum pyaar is tarah karte hai, kuch keh kar bhi kuch keh nahi paate. Mohhabat ko dosti ka karar dete hai, kyu ki unhe hum khona nahi chahte……

Maine Khuda se ek dua maangi, Dua mein apni mout maangi, Khuda ne kaha mout to main tujhe de sakta hoon magar, Uska kya karoon Jisne dua mein Teri lambi umar maangi.

Laher aati hai kinaare se palat jaati hai, yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,Laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki, Laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai.

Tapish suraj ki hoti hai, jalna zameen ko padta hai , kasur ankhon ka hota hai, tadpana dil ko padta hai.

Zindagi sabko milay jaroori to nahi, mohobat sabko milay jaroori to nahi, kuch log bahut yaad aate hai zindagi mein,woh bhi hume yaad kare ye jaroori to nahi...

Aansuon ko bahut samjhaya ki tanhayi mein aaya karo, mehfil mein aaake humara mazaak na udaaya karo, is par aansun tadap kar bole, itne logon mein aapko tanha paate hain isliye chale aate hain......

Tez dhadkanoon ko sunkar bhi tumhe , pyar ki khabar nahi hoti......kya mehsoos karoge tum dil ka dard, dil ke tutne ki to awaaz bhi nahi hoti......

Naa chaho kisi ko itna, ki chahat tumari majburi ban jayee,chaho kisi ko itna,, ki tumhara pyar uske le jaruri ban jaye.....

Raat kya dhali, Sitare Chale Gaye, Gairon se kiya Gila jab, Apne Chale Gaye, Jeet to sakte the Hum Ishq ki bazi, magar Tumhe jitane ke liye hum harte chale gaye....

Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge, Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge, Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka, Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.

kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna, dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna, Hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi, aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
“Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye?
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,,,,
Kar dijiye maaf agar ho gayi koi khata,
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye!!!!!!!!!”


“Aankho ki zubaan WOH samaj nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,,,,,
Apni bebasi kis tarah kahe hum,
Koi hai jiske bina hum reh nahi patE!!!!!!!!”


“Fiza me mahekati ek shaam ho tum,
Pyaar me chalakata ek jaam ho tum,,,,,,
Sine me chupaye firate he hum yaad tumhari,
Meri zindgi ka dusara naam ho tuM!!!!!!!!!!!!”


“Dil hi dil me hum unse pyaar karate he,
Chup-chap unki mahobbat ka intezaar karate hai,
Jin raho par unka chalana mushkil hai,
Unhi raho pe hum unka intezaar karate haIIII!!!!!!!!!!!!!!!”


“Jaye janaza jo unki gali se to unke dar par thehra Dena,
Haath jo uthe dua ke liye to, muh se nakaab utha dena,
Itna bhi na kar sake koi, to maut ki khabar suna dena,
Wajah puche koi maut ki, to mahobbat bata Dena!!!!!!!!!!!!!!!”


“Laut jati hai duniya gam hamara dekhakar,
Jaise laut jaati hai lahere kinara dekhkar,,,,,
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahi fir se zinda na ho jau tere aasu dekhkaRRRRR!!!!!!!”

“Ek hi din me begaane ho Gaye ..
kal tak haqeekat thhe, ab afsaane ho Gaye ...
shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai,
ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye...”

“Ek hi shaher me rehte hain, phir bhi mil nahin paate hain ...
tumse to achchhe tumhaare khwaab hain, Jo aankh band karte hi chale aate hain...”

“Ek Din Bahaaron Ke Phool Murjhaa Jaayenge,
Jab Bhule Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamaari Dosti Ka,
Jab Door, Bahut Door Hum Tumse Chale Jaayenge”

“Ehsaan doston pe jataane nahin hotey,
karz dosti me chukaane nahin hotey,
bas salaamat rahe dosti humaari...
yeh woh rishtey hain jo kabhi puraane nahin hotey...”
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
“Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai ..
gham ke sagar me is Kadar kho gayi hai ...
tum AA jao wapas ye guzaarish hai meri
shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai ..”

“Zamaane se nahin to tanhaayee se darta hun ..
pyaar se nahin to ruswayee se darta hun ...
Milne ki umang to bahut hoti hai dil me,
magar Milne ke baad Teri judaai se darta hun...”

“Zindagi nahin humein doston se pyaari,
doston pe haazir hai jaan hamari
aankhon me hamari aansoo hai to kya,
jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari...”

“Zulfon KO failaa kar, jab koi mehbooba kabar par roti hai
to mehsoos hota hai ki maut bhi kitni haseen hoti hai... “

“jab dosti ki dastaan waqt sunaayega,
humko bhi koi shaqs yaad aayega,
tab bhool jaayenge zindagi ke ghamon ko ...
jab aapke saath guzara zamaana yaad aayega ...”

“Jaane kitne hi armaan aansoo-on me dhal jaate hain
hota hai kabhi yun bhi ki tabassum se lab chhil jaate hain ..”

“Tasveer ban Gaya hoon, tasveer dekhkar ...
rooh khil gayi hai yaar ki taqdeer dekhkar...”

“Tumne chaha nahin warna haalaat badal sakte thhe
mere aansoo tumhaari aankhon se nikal sakte thhe
tum to thahre rahe jheel ke paani ki tarah
dariya banke bahte to bahut door nikal sakte the”

“Dil se dil badi mushkil se milte hain ...
toofan me sahil badi mushkil se milte hain ...
yun to mil jaate hain hazaaron magar,
aap/hum jaise dost badi mushkil se milte hain ...”

“Dawaa bhi kaam Na aaye, koi dua Na lage ...
mere khuda kissiko pyaar ki hawa Na lage...”

“dard kaafi hai bekhudi ke liye ...
maut lazmi hai zindagi ke liye ..”

“Dil se khayaal-e-yaar ko ttaale huve to hain
hum jaan de ke dil ko sambhaale huve to hain”

“Dikhaai detaa agar jahaanmein ..
kyon dhoondte usko aasmaan mein
kitaab tumne nayi uttha li ..
rukey thhe hum kal ki daastaan mein”
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
“Tum milo Na milo, Milne ka gham nahi, Tum paas se guzar jao, Yeh Milne se kam nahi, Maana ke tumhain, Humari qadar nahi, Magar UN se pooch, Jinhain hasil Hum nahi”

“Khushbo ki tarah aap ke pas bikhar jayenge,
Saas banker aapke dil me utar jayenge,
Zara mehsoos karne ki koshish to kijiye,
Dur hokar bhi aapke paas nazar aayengEEE…!


“Kisi ne kuch bataya tak nahi; Baar baar pata puch ne ke baad
Aasuo ka samunder mila muje ; magar Janaaza mere uthne ke baad
Muje itni khwaish de de ki ; har khwaish pe dum nikale
Dil ke sabhi armaan pure kar de ; ki jaan bhi nikale to kam nikalEEEE…..!!!!!!!”


“Mohobbat ko naam majburi diya,
Kambaqt haste haste chut Gaye
Ginati gairo ki karte rahe hum
Dekha to bus apne hi loot gayeEEEE…...”


“Matlab ki is duniya me,
Kaun kisi ka hota hai.
Wohi dhokha deta hai,
Jis par pura bharosa hota haIIIII….!!!!!!!!!”


“Woh mausam woh bahaar bhi uske samne kam thi,
Uske saath guzara woh waqt, who fiza bhi num thi.
Par kya kare aye zaalim hum ye bhul hi gaye,
Apne hatho me woh Mohobbat ki lakeer hi kam thiIIIII…….!!!!!!!!!!”


“Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har naakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
Kya hua agar hum unkho pa Na sake,
Sirf pane ka matlab pyaar nahi hotA!!!!!!!!”



“Dard kafi hai, bekhudi ke liye,
Maut zaruri he zindgi ke liye.
Kaun marata hai kisi ke liye,
Lekin hum to zinda hai sirf aapki mohobbat ke liyEE…….”


Mohobbat ke bazar me hamara bhi kuch naam,
Yaha pata nahi chalata kaun acha kaun badnaam he.
Subah unki yaad me unki yaad me sham he,
Yaha koi Kisi ka nahi, bus dil ki katl-e-aam hEEEEEE ………!!!!!!!!!!!!!!!!!!!


“Chand hasta hain, chandi muskurati hain,
Tum yaad karo ya Na karo,
Tumhari yaad aati hain”
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
“Anjaan bankar aaye the ,
Pehchan dekar chale gaye,
Yaar bankar aaye the,
Pyaar dekar chale gaye.”

*********************************************
“Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakti hoon,
Tujhe dekhe bina tera haal bata sakti hoon
Hain meri mohabbat mein itna dum ki…….
Tere aakhon ka aasoon apne aakhon se gira sakti hoon.”

********************************************
“Pani mein pather mat pheko,
Usse koi aur bhi peeta hain,
Jeena hain to haskar jiyo
Kyonki tumhe dekhkar koi aur bhi jeeta hain.”

*******************************************
“Aye Bewafaa tera chehra……
bhool jaane ke kaabil nahi,
Tu khubsoorat to bohot hain…….
Magar dil lagane ke kaabil nahi.”

*******************************************
“Aap kya saath de ge ?
Aap kya pyaar karege?
Dil to humne diya hain….
Hum hi sazaa bhugtein ge.”

*************************************
“Aansu tere nikle,
To aakhen meri ho,
Dil tera dhadke ,
Toh dhadkan meri ho.
Pyaar itna gehra ho ki…….
Saanse teri ruke,to maut meri ho.”

*******************************************
“Raat din tumhe yaad kartein hain,
Raat din yeh dua karte hain,
Aye khuda unhe khush rakhna ……
Jinhe hum pyaar karten hain.”

*******************************************
“Hichkiyon se ek baat ka ehsaas hota hainki……
Koi Hume yaad karta to hain.
Beshak milne naa aaya……
Par kuch lamhe hum par barbaad toh karta hain.”

“Roz yeh khayaal aata hai zahan me
Kal zindagi kis raah par hogi
Har din isi soch mein guzarta hain
ab aur kitno se mulaaqat hogi”
***********************************************
”woh dosti hi kya, jo jatayee na ja sake
woh mohabbat hi kya, jo batayee na ja sake
wafaaye to is duniya, mein hain bahut
par wo wafaaye hi kya, jo nibhayee na ja sake”
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
”Dua karte hai hum sar jhukaye,
Aae dost tu apni manzil ko paye,
Agar kabhi teri raho mein andhera aaye,
Roshni ke liye khuda hum ko jalaye”
***********************************************
”aansuo me mat dhundho hamain,
dil main hum bas jayenge,
tamanna ho agar milne ki,
to band aankho main bhi nazar aayenge”

*****************************************************
“Dilon ki kashmakash KO
samajhna nahin aasan, lab khamosh hi rehte hai
magar aankhen de jaati hai pegaam
mohabbat jazba hi kuch aisa hai dosto, ki jaane kitne aashique chad jaate hai parwaan.”
************************************************************
“Har Dhadkan Me Ek Raaz Hota Hai,
Har Baat Ko Batane Ka Ek Andaz Hota Hai,
Jab Tak Thokar Na Lage Bewafai Ki,
Har Kisi Ko Apane Pyaar Par Naaz Hota Hai!...”
*******************************************************
“Gum Teri judai kaa, kuch ess tarah dhota Gaya
Ki siskiyan bhar bhar ke saari raat main rota Gaya
Kab subah hui eska hosh bhi nehi raha
bas darkhato deevaro ko yuu hi dekhta raha
Hai ajaab yeh zindagi kya kya sitam dhayagi
silsila teri yaadon kaa to umar bhar chalta gaya...”
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Har koi pyar ke liye tarapta hai,
Har koi pyar ke liye rota hai,
mere pyar ko galat mat samajna,
pyar to dosti mein bhi hota hai.


Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jayu vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum...


Aap jaise log hume kuch khas lagte hai.
mann me har waqt hum ek aas rakte hai,
jaane kab aa jaye sms aapka
is liye cell ko dil ke pass rakte hai


”Waqt to Hume bhula chuka hai,
kahin muqaddar bhi Na bhula de,
pyaar hum is liye nahi karte hain,
kahin koi phir se Na rula de!!”


Aasman humse naraz hai,
Chand ka gussa behisab hai.
Woh sab humse jalte hain,
Kyunki chand se behtar Chand humare paas hai.


Vishwas bhari woh muskan tumhari,
Dil KO choo leti har baat tumhari.
Aankhon se ojhal ho jao marzi tumhari,
Par kaise bhoole har yaad tumhari.


“Kafan Na dalo mere chehre pe,
Mujhe aadat hai muskurane ki.
Na dafnao meri laash ko..
Mujhe abhi bhi umeed hai uske aane ki!!!!!”


Aaj chand pe noor hain,
Is baat ka usko guroor hai.
Hum kambakht kis pe guroor kare...
Humara toh chand hi humse door hai!!!!!


“Jis din se juda woh humse hue,
us din se iss dil ne dhadkana chod diya.
chand ka moo utra utra sa hai..
sitaron ne bhi chamkana chod diya..”


“Ek lamhe mein unhone yeh zindagi savar di,
ek lamhe mein unhone yeh zindagi ujad di.
kasoor unka nahi humara tha ..
joh in do lamho mein humne zindagi guzar di!!!!!”
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
“Zindagi sabko mile zaruri nahi,
Mohabbat sabKO mile zaruri nahi.
Kuch log bahaut yaad aate hai zindagi mein..
par woh bhi hume yaad kare zaruri nahi”


“Tum na milo yeh hakikat hai,
Zindagi insan ki zarurat hai.
Kisi din aao humari mehfil mein,
Jaan jaoge ki zindagi kitni khoobsurat hai”


“Kisi ko mohabbat ki sachai maar dalegi,
kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi.
kar ke mohabbat koi nahi bachega ..
jo bacha use tanhai maar dalegi!!!!!”


“Duaon ki bheed mein ek dua humari,
jisme maangi humne har khushi tumhari.
Jab bhi muskurae aap dil se...
Samjho dua kabool hui humari...!”
--------

Jitna pyar paya hai tumse,
Ussse aur jyada pane ko jee chahata hai,
Jane woh kaun se khoobi hai aap mein,
ki har rishta aapse banane ko jee chahata hai.
-------

“Raat gujri phir mehekti subah ayi,
dil dhadka phir tumhari yaad ayi,
aanko ne mehsoos kiya USS hawa KO,
jo tumhe chhukar hamare pass ayi”
-------

“Fulo ki tarah hansti raho,
Kaliyo ki tarah muskurati raho,
Khuda se mangta hu itna dua
Ki tum mujhe hamesa yad karti raho”

-----

Raat ki khamoshi raas nahi aati,
Meri parchayi bhi ab mere paas nahi aati,
Kuch aati hai toh bas teri yaad,
jo aakar ek pal bhi mujhse door nahi jaati
------

Woh gujar jata hai jhonke ki tarah
Milne aata hai na milne ki tarah
Maut se seekh raha hoon jina
Doobta dil bhi hai ek tinke ki tarah
------
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Chirago se andhere door ho jate,
toh chand ki chahat hamme na hoti,
Agar katt sakti akeli ye jindagi,
To apki jaroorat hamme na hoti..
------

Dil k zakhmo par mat ro mere yaar,
wkt har zkhma kaa marham hota hai,
dil se jo sachaa pyaar kare,
unka to khuda bhi deewana hota hai..
------

Chahane se koi baat nahi hoti,
thode se andhere se raat nahi hoti,
jinhe chahate hai jaan se zyada,
unse aaj kal mulakaat hi nahi HOTI.-
------

Yeh sach hai ki aaa jata hai shohrat ka Asar.
insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hai.
Aur bewafa badle ya naa badle.
Waqt aane par wafadar badal jate hai.
------

Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai.
------

Nasha hum karte hai ilzam sharab ko diya jata hai
per isme kusoor sharab ka nahi unka hai
jinka chehra hamein har jaam mein nazar aata hai.


Khuda bhi na jaane kaise kaise rishte banaa deta hai,
Jin ko hum kabhi jaante bhi nahi the,
Unko jaan se bhi pyaara bana deta hai.

------
Koi wada nahi fir bhi tera intazar hai,
judai ke bavjut bhi tujse pyar hai,
tere chahere ki udasi de rahi hai gawahi,
mujse milne ke lia tu bhi bekarar..
------

Dhoop hoti hai suraj se,
jalna zameen ko padtaa hai,
mohobbat hoti hai aap
se tadapna hum ko padta hai..
------

Har taraf noor hai khusboo hai
Teri ankhon mein kaisa jadoo hai Sari duniya
hai meri jholi mein Aur duniya meri bas tu hai
------
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota,
Sharab kam thi to pani mila diya hota,
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha,
To muskura ke sar hi hila diya hota.
------

Hasraton ki nigahon pe sakth pehra hai.
Na jane kis umeed pe dil thehra hai.
Teri chahat ki kasam ae dost,
apni dosti ka rishta pyar se bhi gehra hai...
------

Hasna jindagi hai,
has kar gum boolana jindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana jindagi hai
------

Ik zara si bhool khata ban gayi,
meri vafai hi meri saza ban gai,
dil liya aur khel kar tod diya,
hamari jaan gai unki adaa ban gai.
------
Jab kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai
Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai
Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
------

Raatein Gumnaam Hoti Hein,
Din Kissi Ke Naam Hota Hai.
Hum Zindagi Kuchh Iss Tarah Jitey Hein Ki
Harr Lamha Doston Ke Naam Hota Hai !
------
Har subha apki hseen ho,
har sham apki rangin ho,
khuda aapka naam is kadar kare roshn
ki har shkhs apko pane ka shokin ho.
------
Ek adaa apki dil churani ki,
ek adaa apki dil mein bas jane ki
ek chehra apka chand ke jaisa,
ek zid hamarie chand ko pane ki.

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab dena
Jab koi Khamosh rehkar Sawaal kar leta hai
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo
yehi hai zindagi kuch Khwaab chand ummidein
inhee khilonon se tum bhi bahel sako to chalo
******************************************************
Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Modna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chodna
Aye chand!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain ko Todna
******************************************************
Aaina dekhay mujhay kyun ghoor ghoor kay...
Pass koi aa raha hay door door say....
Kya hua hay na janay is dil ko......
Seenay main kyun dhadkay yah zor zor say...
******************************************************
Kisi ki lash phoolo se saji hai,
Kisi ki lash bina kafan ke padi hai,
Ae bhai jara dekh kar chal,
Najane maut kaha kaha khadi hai.
******************************************************
Dosti Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain,
JaagtiAakhoon Me Bhi Kuch Kwaab Hoten Hain,
Zaroori Nahin Ke Gham Me Aansoo Nikle,
Muskurate Aakoon Me Bhi Sailaab Hote Hain. ******************************************************
rone ka to aalam aisa tha,
hum jhoom ke saawan tak pahoonche,
do char hi aansoon aise the,
jo aap ke daaman tak pahoonche...

Ankhon me aansu aa jate hai
phir bhi labo pe hasi rakhni padti he,
ye mohabbat bhi kya chiz hai yaro
jise chahte hai usise chupani padti he!!!!!!!

Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi
merekhwabo ko mehka gaya koi ,
hum to anjane rasto pe chal rahe the
achanak hi pyar ka matlab sikha gaya koi!!!!!!!


Ruth ke tum hame bhulane lage
itne dur hue ki bahut yaad aane lage,
kaise bhula dun tumhe ek pal me
jab dost tumhe pane me mujhe zamane lage!!!!!!
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Hum ruthe to kiske bharose,
Kaun hai Jo aayega hume manane ke liye,
Ho sakta hai Taras aa bhi jaye AAPKO,
Par dil kaha se laau AAPSE ruth jane k liye

Zindagi me kuch na mila humko to kya gam hai,
Aapki dosti mili humko ye kya kam hai,
Aapke dil me ek chotisi jagah jo pa lu,
To woh jagah TAJ MAHAL se kya kam hai

Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai,
akhir is dard ki dawa kya hai.
Humko unke wafa ki hai umeed,
jo nahin jante wafa kya hai.


Naa jane yeh nazre kyu udas raheti hai,
Najane inhe kis ki talash raheti hai,
Ye jankar ke bhi ki woh kismat mai nahi,
Phir bhi unko paane ki kyun aas rehti hai.

Har Phul Ki Ajab Kahani Hai,
Chup Rehna Bhi Pyar Ki Nishani Hai,
Kahi Koi Zakham Nahi Phir Bhi Kyu Ye Dard Ka Ehsas Hai,
Lagta Hai Mere Dil Ka Tukda Kisike Paaaaas Hai.
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Phoolon ne Amrit ka jaam bheja hai,
Sooraj ne gagan se Salam bheja hai,
Mubarak ho Aapko nayi subhah,
Tahe-Dil se Humne ye Paigaam bheja hai.


Najre Jhuki to Paimane bane,
Dil tute to Maikhane bane,
Kuch to jaroor khas hai aap mein..
Hum yoon hi nahi aapke Diwane Bane...


Gadha jo khaye wo Ghas ho tum,
Buddhe ka Chyawanprash ho tum,
Idiot stupid bakwas ho tum,
Par jo bhi ho yar, Dost Jhakaas ho tum...


Kabhi badli hui takdir nazar ati hai,
yado ki bas ek zanjir nazar ati hai ,
pade bhi to kya pade
yaar- mujhe mobile me bhi teri tasveer nazar ati hai.


Nazar tumhari, Nazar hamari,
Nazar ne dil ki nazar utari,
Nazar ne dekha nazar ko aise,
ki nazar dosti ko lage na hamari.


Tussi hasde ho saanu hassan vaste,
Tussi ronde ho saanu rovvan vaset,
Tussi 1 vaar ruske te vekho,
Mar jayenge tuhanu manaan vaste.


Baadal kitne khushnaseeb hai,
Door rahkar bhi zameen par baraste hai,
Hum kitne badnaseeb hai,
Paas rahkar bhi milne ko taraste hai.
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hoton pe tumahari.


Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.


Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond dosti ke pi le,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi.


Tum paas ho to tujhpe pyar aata hai,
Tum door ho to tera intezaar satata hai.
Kya kahe is dil ki haalat ki,
Tujhe yaad kar karke hume bukhaar ho jaata hai.


Vaade pe o aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte.


Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naya sadma deti hai zindagi.
Hum jindagi se kya shikwa kare,
Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi.


Kaash woh nagme hame sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
 

archana agarwal

Par 100 posts (V.I.P)
Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye.


Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote.


Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge.


Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai.


Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.
 
Top