PDA

View Full Version : MORE SHAAYARI




preet jain
February 23rd, 2008, 12:48 AM
Ye hak hai tumhaara,chehre se unke zulfe tum hatado,
Chupaao mat dil ki betaabi ko, unhe sab kuch batado,
Saari majbooriyaa chod kar vo teri baaho me bikhar jaayegi…
Bas itnaa karam karo ki manzil ki taraf ek kadam aur badado.........




preet jain
February 23rd, 2008, 12:50 AM
Dil pe lage nishaano ki ye aukaat naa hoti,
Agar hum unhe naa chaahte to ye baat naa hoti,
Ye dil hi to har ek gam ki vajah hai….
Ye dil hi naa hotaa to koi baat naa hoti……

preet jain
February 23rd, 2008, 12:58 AM
Majboor tha tabhi chalaa gayaa hai koi,
Gamo se choor tha tabhi chalaa gayaa hai koi,
Khushi se kise manjoor hai judaai yaar ki,
Waqt se haara tha,tabhi chalaa gayaa hai koi……………